Aj ka sawal hai kia hamara ma’ashrah corruption bardasht kar sakta hai? hmmmm No No because Corruption aik asi cheez hai jis mai insan najaiz or beimani say ya rishwat ly kar dusro ki cheezo or paiso ko apna bana lyta hai. corruption hamry ma’ashrah ko deemak ki tarha chat raha hai .jis ma’ashrah mai hum rah rahye hain wo gair asooda hai. Agar dykha jaye tou kisi bhi mehakmy mai har shaks mukhlis nai hai.Hum pur-umeed tou hain kai haamara ma’ashrah corruption say pak hojyega lykin jis surat-e-haal say hum Pakistan banny sae abtuk guzar rahy hain or jitny bhi ab tuk gair mutmaien kam sar injam horhy hain in sub sae nabar-azma hony kai liye hamy kafi jaddo jehadd karni pary gi or ye kam aik fard ka nai bulky puri Quam ko bila-imtiaz, bila-tafreeq,rang-o-nasal, umer-o-qaid hokar aik plat form pur jama hona pary ga jo kai intahai mushkil kam hai magar namumkin nahi, agar hosly buland hou tou insan asman ko bhi choou lyta hai isi liye hum subko agye barh kar is ma’ashrah ko corruption sae bachana hai or ye kam apny aap sae start hoga ku kai jub hum masboot hongy tou hamari any wali nasal bhi masboot hogi jis kai liye humy taleem ki ahmiayt ko frogh dyna hoga.phr isi tarha ye ma’ashrah kabil se kabil tareen banta chla jaye ga.
Magar hamary ma’ashrah mai afsos nak baat ye hai kai hur bary sae bara or choty sae chota a’ahda dar mukhlis ni jis ki wajah sae log bai-hadd preshan hai or apny kam k liye na’jaiz zaraiye use kar rahy hain or phr kisi bhi kam ko sar injam dyny kai liye ghalat rasta apna lyty hain jis sae corruption ka aghas hota rhta hai or aik na khatm hgony wali zanjeer si ban jati hai or ab hamara ma’ashrah bhi isi bigar ka shikar hai.
Hamara mulk bari hi jadd-o-jahad kai baad islami mumlikat kai naam pur qaim hoa tha lykin hum sub is ki pasdari nai kar paye isi liye mojuda corruption ko pak karny kai liye hum sub ko mut’tahid hona pary ga or khoob mehnat karni pary gi jiska siila hamri any wali naslon ki behtareen quam ki surat mai mily ga. Aiye hum sub mil kar ye aihad karyn kai corruption kai katmy kai liye mil kar har burai ko chor kar acxhai ka rasta apnaey gy or ik dusry ki madad sai behtareen quam hony ka suboot dyngy ku kai koshish karny waly ki kabhi har nai hoti or Khuda bhi unki madad karta hai jo apni madad aap kart hain.
#SayNoToCorruption…….!